Anmol Vichaar - *Mann*
SSDN
Jai Sacchidanand Ji
*Mann*
Bolo jaikara bol mere Shri Gurumaharaj ji ki jai.............
🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Anmol Vichaar - *Mann*
* Mann ke hathyaar kaun kaun se hain?*
Mann ke paas 'paanch' achook hathyaar hain jiske dwara ye har jeev aatma par apne vaar karta hai. Ye 'paanch hathyaar' hain : kaam, krodh, lobh, moh, aehnkaar.
* Mann ka bandhan kya hai?*
Mann ka bandhan he 'agyaan' hai. Agyaan ye hai ki har ek 'aatma' khud ko shareer aur mann maan kar is sansaar sagar mein janam aur maran ke 'karamjaal' mein phassi hui hai. Sach ye hai ki is 'aatamdev' ko kisi bhi karam ki aavashakta nahin hai. Kewal 'agyaan' ke kaaran ye 'aatamdev' khushi khushi mann ki prerna se sabhi prakaar ke (kya paap, kya punya) karamon mein shaamil ho raha hai aur phir inhin kiye huey karamon ka phal bhogne ke liye 'aatma' ko baar baar shareer ke bandhan mein bandhna padd raha hai.
*Jai Gura Di🙏🏻*
Jai Sachidanand Ji
Comments